Dua Shayari In Hindi
Dua Shayari In Hindi |
Dua Shayari
Aansu raato ka bahana hai farar,
to subh khula mein gidgadana hai farar,
hai zindagi se takkar lena,
ghabrake dua ka hath uthana hai farar.
Basa Hai Aankho Mein Unka Chehra Is Tarah,
Gulabo Mein Khushbu Basi Ho Jis Tarah,
ibadat ki Ho Aur Dua Na Mangi Ho,
Unki Kami khalti Hai mujhe Kuch Is Tarah.
Manzilo ki har Sadak sirf aap ke naam,
Mohabbat ki har adaa bas aap ke naam,
Pyaar bhari har nigah aap ke naam,
labon par aane wali har Dua aapke naam.
Zindagi ek chahat ka silsila hai,
Koi mil jata hai, koi bichhad jata hai,
Jise mangte hai hum apni duaon mein,
Woh kisi ko bina mange hi mil jata hai.
Tumko bewafa kehna, gawara nahi mujhe,
tumse gila karna, gawara nahi mujhe,
tum ja rahe ho to jao sada kush raho,
tumhe baddua dena, gawara nahi mujhe.
Le-le ke khuda ka naam chilate hai,
phir bhi asar dua mein nahi paate hai,
khate hai haram lukma 1 padthe hai namaj,
karte nahi parhej dawa khate hai.
Apne Dard Badha Leti Hoon,
Yaadon Main Use Paas Bula Leti Hoon,
Zindagi Jeene Se Qabal Jo Mar Gaya Tha,
Har Pal Use Jeene Ki Dua Deti Hoon.
Hum hai wafa parast wafa karte rahenge,
Hai jurm to yeh jurm hum karte rahenge,
Aye dost khuda rakhe sada tujh ko salamat,
Hum tere liye yeh dua hamesa karte rahenge.
Door ho ke bhi apke pass raha karte hai,
teri yaadon ke sahare jiya karte kai,
tujh se koi shikayat na gila karte hai,
tu salamat rahe bas yahi dua karte hai.
Aise Kisi Rafeeq Ki Duniya Misaal De,
Main Usse Dard Mangu To Wo Dil Nikal De,
Rab Jaane Kiski Dua Mere Saath Hai,
Main Dubna Chahu Bhi To Dariya Uchaal De.
Saada Door Raho Gham Ki Parchaiyon Se,
Samna Na Ho Kabhi tumhara Tanhaiyon Se,
Har Armaan Har Khawab Poora Ho Aapka,
Yahi Dua Hai hamari aapko Dil Ki Gehraiyon Se.
Hamara Pyaar Kabhi Na Toote Dua Karna,
Hamara Saath Kabhi Na Chute Dua Karna,
Badhi Mushkil Se Milta Hai Saccha Pyaar,
Hamara Yaar Kabhi Na Bichade Dua Karna.
Har zindagi khushiyon ke kareeb nahi hoti,
Har khushi dil ke kareeb nahi hoti,
Duaein taqdeer zaroor badal sakti hai,
Magar har dua khuda ke kareeb nahi hoti.
Pyasi nigaho ne harpal unka deedar manga,
Jaise amavas ne har raat chand manga.
Ruth gaya wo Khuda bhi humse,
Jab humne apni har dua me unka saath manga.
Dil ke labo pe ek dua rehti hai,
Har ghadi mujhe aap ki parwah rehti hai,
Khuda har sukh zindagi ka kare atta aap ko,
Har dua main meri yeh iltija rehti hai.
Hame na rahega zindagi se koi shikwa,
Bas karte hai rab se hum ye dua,
Mil jaaye mere yaar ko aisa koi apna,
Jise pakar wo kahe, dekh yaar Ye tha mera sapna.
Har Baar Apki Salamti Ki Dua Karenge,
Teri Aarzoo Mein Apni Hasti Fanah Karenge,
Tum Chahe Daman Bachalo Humse Lekin,
Hum Marte Dum Tak Apse Wafa Karenge.
Khawab Sach Ho To Tabir Bhi Mil Jati Hai,
Yaad Bhi Aksar ek Tasveer Mai Badal Jati Hai,
Kuch Maango Agar To Mango Sache Dil Se,
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai.
Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu,
Ab Main Tumhe Bhulane Ke,
Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha,
Tumhe Apna Banane Ki.
Hal Pal Ki Khushi Aapki Yaad Mein Hai,
Humari Har Dua Aapke Saath Mein Hai,
Door Reh Kar Bhi Aapko Yaad Karte Hai,
Zaroor Koi Pyari Si Ada Aap Mein Hai.
Shiddat Se Chaha Hai Jise maine,
Sirf Uski Mohabbat Ki Tamanna Ki Hai,
Aye Kaash Har Lamhe Pe Koi Aameen Kahe,
Kyunki Har Saans Ne Use Paane Ki Dua Ki Hai.
Zindagi Mujhe Jeene Ke Liye Dua Chahiye,
Uss Par Kismat Ki Bhi Wafa Chahiye,
Khuda Ke Reham Se Sab Kuch Hai Mere Paas,
Bas Pyar Karne Ke Liye Mehbooba Chahiye.
Darguzar Uss Ki Har Jafa Kardi,
Uss Ke Haq Main Aaj Phir Dua Kardi,
ek Lamha Mein Kho Diya Uss Ko maine,
Jis shaqs Ko Paane Main Inteha Kardi.
Reet Hai Jaane Kaisi Yeh zamane Ki,
Jo Saza Milti Hai Dil Lagane Ki,
Na Basana Dil Mein Kisi Ko Itna,
Ki Phir Dua Mangni Pada Bhulane Ki.
Kis kadar Mujh Ko Satate Ho Tum,
Bhool Jaane Pe Bhi Yaad Aate Ho Tum,
Jab Bhi Khuda Se Kuch Mangti Hoon,
Mere Dil Ki Dua Ban Jaate Ho Tum.
zehan mein teri yaadon ke siwa kuch bhi nahi,
dil mein gujri baaton ke siwa kuch bhi nahi,
tu jaha bhi rade sada muskurati rahe,
mere lab par duao’n ke siwa kuch bhi nahi.
Mere hath jab bhi uthe Dil Ne Dua Mangi,
Tujhe Manga Hai Teri Wafa Mangi Hai,
Jis Mohabbat Ko Dekh Ke Duniya Ko Rashk Aye,
Tere Pyar Karne Ki hamne Wo Adda Mangi.
Toot jaate hai sabhi rishte magar,
dil se dil ka rishta apni jagah hai,
dil ko hai tujh se na milne ka yakeen,
par tujhse milne ki dua hai apni jagah.
Teri Chahat Teri Ulfat Ki Ada Kaafi Hai,
Zinda Rehne Ke Liye Teri Wafa Kafi Hai,
Be-Wajah Hath Uthane Ki jarurat Kya Hai,
Dil Se Mango to Faqat ek Dua Kaafi Hai.
kise se dosti kise se pyar karta hoon,
jo thik lage wahi ristha main barkarar raktha hoon,
koi mujhe yaad kare ya na kare,
main to har kisi ke liye dua hazar karta hoon.
Teri yaadon ke chiragon ko jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya har shaam,
Mangi khuda se teri khushi ki duayein hazar,
Tanha baith ke haatho ko uthaya har shaam.
Lafzon ki Justju mein sub kuch Gawa dia,
Wo Chal dia Main Tarz-e-Adaa Dhoondta raha,
Usko Kisi ne rab se maang liya aur main,
Sajde mein Gir ke Harf-e-Dua dhoondta raha.
Jis Din Maut Ki Gaud Me Sona Hoga,
Na Koi Takkiya Na Koi Bichona Hoga,
Sath Rahengi Bas Aap Jaise Logo Ki Dua,
Aur kabristaan Ka Ek Chota Sa Kona Hoga.
Uska shukriya kuch iss tarah ada karu,
Wo Kare Bewafai aur Main Wafa Karu,
Mere ishq ne mujhe bas Itna Sikhaya,
Main mit Jau par uske Liye yuhi Dua Karu.
Wo Phir Se Laut Aaye Thei,
Meri Zindagi Mein, Apne Matlab Ke Liye.
Aur Hum Sochte Rahe Ki,
Humari Duaon Mein Dum Tha.
Jab Teri Kirpa Pe Nazar Jati Hai,
aye Malik Sai Meri Aankh Bhar Aati Hai,
Tu De Raha Hai Mujhe Is Kadar ki,
Ki Dua Me hath Utha nahi Jholi pehle Bhar Jati Hai.
Har Duao Me Dil Se Dua Karte Hai,
Hath phalaye Rab Se ilteza Karte Hai,
Unn Par Gum Ka Saya Na Aane Paye,
Jo Hume Apno Me Gina Karte Hai.
Dhadkan hamari tumse jo kahe,
Saanso ko bhi uski khabar na lage,
Bahut khubsurat hai yeh dosti ka rishta hamara,
Dua hai isse kisi ki nazar na lage.
Har yaad mein uski yaad rehti hai,
Meri aankho ko uski talash rehti hai,
kuch tum bhi dua kiya karo dosto,
Dosto ki fariyad me khuda ki hami hoti hai.
Maine Har Roj Dua Mein Tujhe Manga Hai,
Hu Bewafa Magar Wafa Se Tujhe Manga Hai,
Kabhi Sajde Mein Ja Ke Puch Apne Rab se,
Maine Kis Kis Ada Se Tujhe uss se Manga Hai.
Muskurati rahe ye zindagi tumhari,
Ye dua hai har pal khuda se hamari,
Phoolo se saji ho har raah tumhari,
Jis se mehke har subah tumhari.
Tu hi mil jaye mujhe bus itna hi kaafi hai,
Meri hardum bas yahi ek dua mangi hai,
Jaane kyun dil khincha chala jata hai teri taraf,
Kya tumne bhi mujhe pane ki dua mangi hai.
Khuda Humko Kabhi Aisi Judai Na De,
Unki Yaadon Se Humko Rihai Na De,
Dua Karna Dosto Mujhe Aisi Jannat Na Mile,
Jahan Se Mera Yaar Mujhe Dikhai Na De.
Har Ibadat Mein Yaad Karta Hu Tujhe,
Ae Dost Teri Salamati Ke Siva Kya Chahiye Mujhe,
Meri Har Dua Mein Tere Liye Mangli Hai muskurahat,
Aye Mere Dost Tu Jaha Bhi Rahe Sada Khus Rehna.
Aapki Dosti Mein Zindagi Kat Jaye,
Aapse Batein Karte Waqt Guzar Jaye,
Bas Ek Dua Hai Khuda Se ki,
Aapki Bahon Mein Meri Maut Aa Jaye.
Amal Se Bhi Manga Wafa Se Bhi Manga,
Tujhe Maine Teri Raza Se Bhi Manga,
Na Kuch Ho Saka To Dua Se Bhi Manga,
Kasam Hai Khuda Ki Khuda Se Bhi Manga.
Hum Bhi Chahenge Tujhe Heer Ki Tarha,
Rab Se Mangenge Tujhe Kisi Fakir Ki Tarha,
Rang Na Laye Agar Humari Yeh Duaye,
To Phir Hum Reh Jaayenge Be-Rang Kisi Tasveer Ki Tarha.
Tum Apni Saari Adaayen Hume Dedo,
Hum Apni Saari Wafaayen Tumhe Dete Hai,
Jo Sochi Thi Kabhi Apne Liye,
Lo Aaj Woh Saari Duaayen Tumhe Dete Hai.
Pholon ki wadi mein ho basera aap ka,
Sitaron ke angan mein ho ghar aap ka,
Dua hai har ek dost ki har ek dost ke liye,
hum se bhi khoobsurat naseeb ho aap ka.
Khud ki Mohabbat Fanah Kon Karega,
Sabhi Nek Banenge To Gunah Kon Karega,
Aye Khuda Sanam Bewafa Ko Bachaye Rakhna,
Warna Hamari Maut Ki Dua ab Kon Karega.
Dua hai ki kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
Aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himmat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai,
Ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga.
0 Comments